Koi lutane k liye peeta hai to koi
khud loot jane ke liye
Koi ayaashi ke liye peeta hai to koi
gham ko bhulane ke liye
Hamara bhi naata gham se
jud gaya hai kuch is tarah ki
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai..
- © Khan Khushboo
khud loot jane ke liye
Koi ayaashi ke liye peeta hai to koi
gham ko bhulane ke liye
Hamara bhi naata gham se
jud gaya hai kuch is tarah ki
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai..
Dastak deti hai mohabbat khwaab ban kar
Fir yaad ban ke dafan ho jaati hai
Sookh gayi hai humare aashiyane ki har kali ki
Aaj saare khwaab mitane ko jee karta hai
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai..
Kaash ye dhadkan hi na hoti to
Dil ka silsila na hota ishq Aashique badnaam na hota
Kaash ke ye kaash bhi na bana hota
To ye kaash kehne me itna takleef na hota
Aaj saare yaad bhula dene ko jee karta hai ke
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai..
Roohbaru hai saanse teri hamari mohabbat se
Fir bhi eitbaar nahi tumhe apni chahat pe
Hamari duniya ho tum fir kyu shikayat hai tumhe hum se
Aaj sab kuch bhulakar tumhe
rooh me utaar lene ko jee karta hai
rooh me utaar lene ko jee karta hai
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai..
Rooohh ab chhod de tu jism ko mere ke isme ab kuch nahi bacha hai
Muskurati aankhon me bhi sailaab aane laga hai
Mohabbat ke liye dil me utarna padhta hai ke
Aaj apne dhadkan ko hi rok dene ko jee karta hai
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai
Aaj humein bhi peene ko dil karta hai...
- © Khan Khushboo