Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2020

Karma

Kar le tu mauj dard deke kisko  le le maza yaha rehna hai kisko? itna bhi zulm kisipe mat karna Kisi nahi par us  Rab se zarur darna, kyonki Aa raha hai karma.. Thakte nahi tum  gunah karte karte Na jaane kitno ke ghar  hai rozana jalte  Agar tum sahi ho Har baat, soch, or sahi iraado pe hi ho To kisi se na darna Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma.. Haq marke kisika  upar jo jate hai fir ayyashi karke beparwah udhate hai bhulna mat lekin sab  yahi reh jana hai sabko ek din  khuda ko muh dikhana hai maafi liye bina tum mat marna Woh khuda ki nighaye hai Aa raha hai karma.. Jo kiya sahi kiya  Aisi baato pe na waqt gawana Dharm se pehle karam karna Koi toote aisi raah pe mat chalna Jo kiya wahi payega Jo boya wahi khayega Ae mere dost Woh khuda ki nigaahein hai Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma..         -© Khan Khushboo

Mehsoos

Sach kehta hu  Baat raat ki thi Yaado ke panno mai, Woh Sihayi ki likhawat si thi  Bheegi bheegi sadke Aur chehra uska jaise Chand khilta Waah Waah Jab wo hasti si thi  Rahat to tab mili Jab pata chala Ishq ki guftagu mai Wo keesi aur ke dil mai Nahi basi thi..... Sapne, Baato, Haqikat, Brahm, Sharam, Karm Na jaane kahi kahi thi Wahi baat hai Yeh dil khush sa rehta hai Kyoki hum jisse pyar karte Wahi hamare saath hai Humpe jaise bagawat si thi Dard bada tha par Uska mukhda dekh Aati rahat si thi Khushboo Savere ki   Kya kala thi usme Mera man jaan lene ki Hasi mai bhi dard pehchan lene ki Aur dard mai bhi Khushiya jaan lene ki Na jaane na jaane Kaisa masla hai yeh Pass hoti hai to saans ruk jaati hai Dur hoti hai to baat aajati hai saans lene ki Aisa koi shabd nahi  Jo tujhe dekh kar nagma na bane Tu aaye to berang ek rang sa mile Chal aaja kal ki baat kar Jisse hue the shikwe gile Mehsoos sa hua Na jaane kab hua Jab hua rahat sa ek dard sa hua Aankhen band si hoyi Sapno Ma

Baki Hai..

Abhi ruko  bahot si baat baki hai yaad hai jab ghanto  intezaar karwate the? un lamhon ka hisaab  abhi baki hai.. Kaha chale?  Raat abhi baki hai yaad hai jab hazaaron  bahane diya karte the? un sawaalo ka jawaab  abhi baki hai..  subha bhi hogi phir hogi raat par tere gunahon ka hisaab abhi baki hai kab tak bhagoge apne zameer se hi  waqt ka anjaam abhi baki hai.. afsos tum bhul gaye  khuda ka azaab abhi baki hai.. jhut or fareb sab  yahi reh jayenge  upar jana tha jo sath  wo zaaki hai karlo maafi ab bhi waqt hai qayamat ana abhi baki hai..                                  -© Khan Khushboo

Sach Bolo....

Keesne hamari kashti dubayi Kya wo saath tha ? Jisne matlab se apni wafa dikhayi Kya jhoot tha ? Kya irada tha Jisne daga ko hee ek dawa banai Gehre jazbaat pe  Daag sa cchod diya Apno ne gairo se mu mod liya Sach bolo Kya baat thi  Jiss rishte mai hume apna keh ke Hamara hee dil tod diya Aap to Ghar ke ho To phir ? Milawat kaisi  Khud hee galat ho to phir Dusro se shikayat kaisi Sach bolo  Kya manjhra hai, Kyonki Jaha loot machi ho waha barkat kaisi Hawa chalte chalte hume chu kar  Ruk si gayi Kaise dete hai sahara Wo thoda humse seekh kar gayi Wo chalti hui hawa thi Ya chalayi hui, wo aage badhi nahi Sach bolo milawat thi kya ? Hamare jism ko chu wo hawa  Bheeg si gayi, bheeg si gayi Aage bayan karu to kuch aisa hai ki Chupa hua chaand rooth sa gaya Dil ko samjha kach  Isiye shayad toot sa gaya Hum shayad apne  Yaaro,ishq ke dua na the Isliye hume dil kam dimag mai rakh Wo bhul sa gaya Wo bhul sa gaya Sach bolo yaaro kho sa gaya  Ya phir bas mil sa gaya Sach bolo......  

Masla

Yeh kaisa masla hai Meri jaan jaa rahi hai Sach batao kaha jaate ho Kal talak to tum khud nahi aati thi Aur aaj tumhari awaaz nahi aa rahi hai Aur aaj tumhari awaaz nahi aa rahi hai Ruk sa gaya hai yeh sagar Lagta hai sailaab aane wala hai Tham sa gaya hai yeh andhera  Lagta hai chaand zameen pe aane wala hai Kaisa hai yeh masla Lagta hai galtiyo se kuch sacha kaam hone wala hai Kuch sacha kaam hone wala hai Aankhon ke panno mai Na jaane kaisi siyahi chalyi Banane baithe the aankhon ki tasveer Bante bante tumhari tasveer saamne aayi Har koi isse dekh phisla hai Na jaane yeh kaisa masla hai Na jaane yeh kaisa masla hai Yeh chaand aaj kuch pass lag raha hai Purnima hai kya ?? Bahaut khaas lag raha hai Mann mera sukhi ret pe paani  Jaise barsaat lag raha hai Shayad bhull gaye wo marsala Na jaane kaisa hai yeh masla Na jaane kaisa hai yeh masla                                    -© Atulya Music