Kar le tu mauj dard deke kisko le le maza yaha rehna hai kisko? itna bhi zulm kisipe mat karna Kisi nahi par us Rab se zarur darna, kyonki Aa raha hai karma.. Thakte nahi tum gunah karte karte Na jaane kitno ke ghar hai rozana jalte Agar tum sahi ho Har baat, soch, or sahi iraado pe hi ho To kisi se na darna Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma.. Haq marke kisika upar jo jate hai fir ayyashi karke beparwah udhate hai bhulna mat lekin sab yahi reh jana hai sabko ek din khuda ko muh dikhana hai maafi liye bina tum mat marna Woh khuda ki nighaye hai Aa raha hai karma.. Jo kiya sahi kiya Aisi baato pe na waqt gawana Dharm se pehle karam karna Koi toote aisi raah pe mat chalna Jo kiya wahi payega Jo boya wahi khayega Ae mere dost Woh khuda ki nigaahein hai Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma.. -© Khan Khushboo
You're at the right place if you're reader or a writer. This is a gift to all who are in love, pain, sorrows, heart broken or even bored in quarantine. Content has both Hindi and English articles, stories, poetry, songs, shayaris and quotes. Stay tuned!!!