Skip to main content

Karma



Kar le tu mauj dard deke kisko 
le le maza
yaha rehna hai kisko?
itna bhi zulm kisipe mat karna
Kisi nahi par us 
Rab se zarur darna, kyonki
Aa raha hai karma..

Thakte nahi tum 
gunah karte karte
Na jaane kitno ke ghar 
hai rozana jalte 
Agar tum sahi ho
Har baat, soch, or
sahi iraado pe hi ho
To kisi se na darna
Chinta na karo, Kyoki
Aa raha hai karma..

Haq marke kisika 
upar jo jate hai
fir ayyashi karke
beparwah udhate hai
bhulna mat lekin sab 
yahi reh jana hai
sabko ek din 
khuda ko muh dikhana hai
maafi liye bina tum mat marna
Woh khuda ki nighaye hai
Aa raha hai karma..

Jo kiya sahi kiya 
Aisi baato pe na waqt gawana
Dharm se pehle karam karna
Koi toote aisi raah pe mat chalna
Jo kiya wahi payega
Jo boya wahi khayega
Ae mere dost
Woh khuda ki nigaahein hai
Chinta na karo, Kyoki
Aa raha hai karma..

        -© Khan Khushboo

Comments

Popular posts from this blog

Peene Ko Dil karta Hai

Koi lutane k liye peeta hai to koi  khud loot jane ke liye Koi ayaashi ke liye peeta hai to koi  gham ko bhulane ke liye Hamara bhi naata gham se  jud gaya hai kuch is tarah ki Aaj humein bhi peene ko dil karta hai.. Dastak deti hai mohabbat khwaab ban kar Fir yaad ban ke dafan ho jaati hai Sookh gayi hai humare aashiyane ki har kali ki Aaj saare khwaab mitane ko jee karta hai  Aaj humein bhi peene ko dil karta hai.. Kaash ye dhadkan hi na hoti to Dil ka silsila na hota ishq Aashique badnaam na hota Kaash ke ye kaash bhi na bana hota  To ye kaash kehne me itna takleef na hota Aaj saare yaad bhula dene ko jee karta hai ke Aaj humein bhi peene ko dil karta hai.. Roohbaru hai saanse teri hamari mohabbat se Fir bhi eitbaar nahi tumhe apni chahat pe Hamari duniya ho tum fir kyu shikayat hai tumhe hum se  Aaj sab kuch bhulakar tumhe  rooh me utaar lene ko jee karta hai Aaj humein bhi peene ko dil karta hai.. Rooohh ab chh

Silence

Some loved me because they need me The fake words though cannot heal me Oh The Fake Promises usually they kill me I don't have words to speak The love I gave you just kicked me  You said You wore moonlight in Your eyes But there Is nothing right in your lies Because the silence you gave me Is because of how Beautifully and bad you treated me. Thank You for the gift The Silence you gave me The Silence you gave me.. I remember the morning coffee Which you used to give me How innocently you used to say kiss me The days are gone now Like the season changes its nature You changed your nature The one is now yours To whom you said stranger You broke the heart bravely Thank You for the gift The Silence you gave me The Silence you gave me..                                   -© Atulya Music

Mere Liye Kya Ho Tum

Kaise ye bataun tumhe mere liye kya ho tum.. Mere tarasti nigaahon ki nami ho tum, Berang zindagi me roshni ki kami ho tum, Kehte ho Bekadar kyu tum mujhe? Kaise ye bataun tumhe ke mere liye kya ho tum.. Mere awaaz ki surile raag ho tum, Mere aashiyane ko jalane wale aag ho tum, Kehte ho shama fir kyu mujhe? Kaise ye samjhaun tumhe ke mere liye kya ho tum.. Mere jism me behta hua khoon ho tum, Meri saans, diljaan ka sukoon ho tum, Tumhe aitbaar nahi kyu mujhpe? Kaise yakeen dilaun tumhe ke mere liye kya ho tum.. Mere labo pe khili muskan ki waje ho tum, Aankhon me sapne banke saje ho tum, Shikayat na jane fir kyu hai mujhse? Kaise roobaru karwaau mere liye kya ho tum..  Zindagi ki sabse haseen raaz ho tum, Meri pehli khoj or aakhri talaash ho tum, Bepanah mohabbat karke bhi kyu ruswa kar gaye mujhe??? Akhir Kaise ye bataau tumhe ke mere liye kya ho tum.....                                            -© Khan Khushboo

Sochti To Wo bhi Hogi

Yaad to wo bhi krti hogi Sath tha kabhi Shayad pyar wo bhi krti hogi Na jaane nazar kaisi lagi Jo alag hogye Shayad mere yaad mai na soti hogi Sochti to wo bhi hogi Sochti to wo bhi hogi Bus stand wali chai Class mai baithe isharo mai Karna daay baay Ankhon mai ankhen bhatakna Yu cchoti cchoti baato pe jhagadna Uska ruthna  Aur mera manana Nazro se masti krna thodi thodi Sochti to wo bhi hogi Sochti to wo bhi hogi Chup chup galliyo mai milna Aur uska mere liye sweter silna Uske chehre ka khilna Mera yu shayri likhna Aur usse izhar karna Saheliyo ko wo batati to zaroor hogi Kyuki  Sochti to wo bhi hogi  Sochti to wo bhi hogi Mausam barsaat Aur tera chalna saath Haatho mai haath Aur har mulakat  Lage Pehli mulakat Dil ki baat Uska yaad rakhna meri har baat Pachtati to wo bhi hogi Sochti to wo bhi hogi Sochti to wo bhi hogi                            ©- Atulya Music