Sach kehta hu
Baat raat ki thi
Yaado ke panno mai, Woh
Sihayi ki likhawat si thi
Bheegi bheegi sadke
Aur chehra uska jaise
Chand khilta Waah Waah
Jab wo hasti si thi
Rahat to tab mili
Jab pata chala
Ishq ki guftagu mai
Wo keesi aur ke dil mai
Nahi basi thi.....
Sapne, Baato, Haqikat,
Brahm, Sharam, Karm
Na jaane kahi kahi thi
Wahi baat hai
Yeh dil khush sa rehta hai
Kyoki hum jisse pyar karte
Wahi hamare saath hai
Humpe jaise bagawat si thi
Dard bada tha par
Uska mukhda dekh
Aati rahat si thi
Khushboo Savere ki
Kya kala thi usme
Mera man jaan lene ki
Hasi mai bhi dard pehchan lene ki
Aur dard mai bhi Khushiya jaan lene ki
Na jaane na jaane
Kaisa masla hai yeh
Pass hoti hai to saans ruk jaati hai
Dur hoti hai to baat aajati hai saans lene ki
Aisa koi shabd nahi
Jo tujhe dekh kar nagma na bane
Tu aaye to berang ek rang sa mile
Chal aaja kal ki baat kar
Jisse hue the shikwe gile
Mehsoos sa hua
Na jaane kab hua
Jab hua rahat sa ek dard sa hua
Aankhen band si hoyi
Sapno Mai tere meri neend si khoyi
Mai utha dekh sapna, Aur kaha ki
Lag raha hai jag rahi hai
Maine kaha
Lag raha hai jag rahi hai
Jo kismat kuch dino se thi
Soyi Soyi.....
-© Atulya Music
Comments
Post a Comment