Kar le tu mauj dard deke kisko le le maza yaha rehna hai kisko? itna bhi zulm kisipe mat karna Kisi nahi par us Rab se zarur darna, kyonki Aa raha hai karma.. Thakte nahi tum gunah karte karte Na jaane kitno ke ghar hai rozana jalte Agar tum sahi ho Har baat, soch, or sahi iraado pe hi ho To kisi se na darna Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma.. Haq marke kisika upar jo jate hai fir ayyashi karke beparwah udhate hai bhulna mat lekin sab yahi reh jana hai sabko ek din khuda ko muh dikhana hai maafi liye bina tum mat marna Woh khuda ki nighaye hai Aa raha hai karma.. Jo kiya sahi kiya Aisi baato pe na waqt gawana Dharm se pehle karam karna Koi toote aisi raah pe mat chalna Jo kiya wahi payega Jo boya wahi khayega Ae mere dost Woh khuda ki nigaahein hai Chinta na karo, Kyoki Aa raha hai karma.. -© Khan Khushboo
Sach kehta hu Baat raat ki thi Yaado ke panno mai, Woh Sihayi ki likhawat si thi Bheegi bheegi sadke Aur chehra uska jaise Chand khilta Waah Waah Jab wo hasti si thi Rahat to tab mili Jab pata chala Ishq ki guftagu mai Wo keesi aur ke dil mai Nahi basi thi..... Sapne, Baato, Haqikat, Brahm, Sharam, Karm Na jaane kahi kahi thi Wahi baat hai Yeh dil khush sa rehta hai Kyoki hum jisse pyar karte Wahi hamare saath hai Humpe jaise bagawat si thi Dard bada tha par Uska mukhda dekh Aati rahat si thi Khushboo Savere ki Kya kala thi usme Mera man jaan lene ki Hasi mai bhi dard pehchan lene ki Aur dard mai bhi Khushiya jaan lene ki Na jaane na jaane Kaisa masla hai yeh Pass hoti hai to saans ruk jaati hai Dur hoti hai to baat aajati hai saans lene ki Aisa koi shabd nahi Jo tujhe dekh kar nagma na bane Tu aaye to berang ek rang sa mile Chal aaja kal ki baat kar Jisse hue the shikwe gile Mehsoos sa hua Na jaane kab hua Jab hua rahat sa ek dard sa hua ...